mire vajud ke angan men khvab raushan tha
savad-e-hijr men taaza gulab raushan tha
kali kali ki zaban par azaab raushan tha
ai ham-safar dil-e-khana-kharab raushan tha
ye kis hisab men jheli hai main ne dar-ba-dari
tire saval-e-badan par javab raushan tha
main apni aag se khela main apne aap jala
hisar-e-lams men utra sahab raushan tha
tu rat-jagon ki masafat men gum hua ‘khurshid’
ik aftab pas-e-aftab raushan tha
Leave a Reply