ma.al-e-gardish-e-lail-o-nahar kuchh bhi nahin
hazar naqsh hain aur ashkar kuchh bhi nahin
har ek moḌ pe duniya ko ham ne dekh liya
siva.e kashmakash-e-rozgar kuchh bhi nahin
nishan-e-rah mile bhi yahan to kaise mile
siva.e ḳhak-e-sar-e-rahguzar kuchh bhi nahin
bahut qarib rahi hai ye zindagi ham se
bahut aziiz sahi e’tibar kuchh bhi nahin
na ban paḌa ki gareban ke chaak si lete
shu.ur ho ki junun iḳhtiyar kuchh bhi nahin
khile jo phuul vo dast-e-ḳhizan ne chhin liye
nasib-e-daman-e-fasl-e-bahar kuchh bhi nahin
zamana ishq ke maron ko maat kya dega
dilon ke khel men ye jiit haar kuchh bhi nahin
ye mera shahr hai main kaise maan luun ‘aḳhtar’
na rasm-o-rah na vo ku-e-yar kuchh bhi nahin
Leave a Reply