Mere Tasawwuraat Hain Tahriren Ishq Ki

mere tasavvurāt haiñ tahrīreñ ishq kī

zindānī-e-ḳhayāl haiñ zanjīreñ ishq kī

ta.abīr-e-husn hai dil-e-majrūh kā lahū

chhīñTe paḌe to ban ga.iiñ tasvīreñ ishq kī

dāġh-e-firāq zaḳhm-e-vafā ashk-e-ḳhūñ-fishāñ

roz-e-azal se haiñ yahī jāgīreñ ishq kī

shām-e-ḳhizāñ ko sub.h-e-bahārāñ banā diyā

tartīb-e-zīst ban ga.iiñ ta.azīreñ ishq kī

‘sāġhar’ jahān-e-shauq meñ dekhī hai jāvedāñ

ahl-e-nazar ke sāmne tafsīreñ ishq kī

Leave a Comment