• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere Shikwe Ka Zara Us Pe Asar Ho to Sahi

Mere Shikwe Ka Zara Us Pe Asar Ho to Sahi

mere shikve ka zara us pe asar ho to sahi

mehrban mujh pe kabhi us ki nazar ho to sahi

dekhne vaale mira azm-e-safar dekhenge

manzil-e-shauq koi pesh-e-nazar ho to sahi

jalve qudrat ke to bikhre hue kaunain men hain

dekhne vaala koi ahl-e-nazar ho to sahi

main masarrat bhare lamhon ka karun istiqbal

mire hisse men hasin sham-o-sahar ho to sahi

muskurane ki tamanna to mujhe hai lekin

koi lamha gham-e-dauran se mafar ho to sahi

hech har chiiz zamane ki nazar aa.egi

tujh ko ḳhud apni haqiqat ki ḳhabar ho to sahi

main bhi ‘ma.asum’ samajh lunga hai duniya jannat

aish-o-aram se kuchh roz basar ho to sahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhtar-shirani

Nanha Qasid

Koi Dariya Bhi Rawan Hai Mujh Mein

KHud Se Anjaan Ho Gaya Hun Main

poet

Tumko Agar Hamari Mohabbat Nahin Rahi

poet

Kuchh Is Tarah Dil Se Ishq Us Ka Nikalna Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet