dard ka mere yaqin aap karen ya na karen
arz itni hai ki is raaz ka charcha na karen
laakh ghafil sahi par aise bhi ham kor nahin
ki chaman dekh ke zikr-e-chaman-ara na karen
aql-o-danish se to kuchh kaam na nikla apna
kab tak aḳhir dil-e-divana ka kahna na karen
vo nigahen ajab andaz se hain ishva-farosh
gham-e-pinhan ko hamare kahin rusva na karen
tere ashufta-sar aise bhi nahin sauda.i
ki dil-o-din ke liye zulf ka sauda na karen
main ne behuda tavaqqo ki saza paa.i hai
kuchh ḳhayal aap miri hasrat-e-dil ka na karen
mere armanon ko kaash itni samajh ho ‘vahshat’
ki un ankhon se muravvat ka taqaza na karen
Leave a Reply