ata-e-gham pe bhi ḳhush huun miri ḳhushi kya hai
raza talab jo nahin hai vo bandagi kya hai
tiri nigah ki naqqashi-e-hasin ke siva
tu hi bata mira mafhum-e-zindagi kya hai
sitam-shi.ar jafa-ashna vafa-dushman
ye nang-e-azmat-e-adam hai aadmi kya hai
tira tasavvur-e-rangin agar na ho shamil
bahar-e-gulshan-e-imkan men dilkashi kya hai
zamana aap ka kahta hai jis ko aks-e-jamil
nazar uTha ke to dekho ye chandni kya hai
tamam umr qafas men guzar di ham ne
ḳhabar nahin ki nasheman ki zindagi kya hai
Leave a Reply