ham qatl kab hue ye pata hi nahin chala
andaz tha ajab ki vo ḳhanjar ajiib tha
ummid-e-baryabi to mujh ko na thi magar
sahil pe aa gaya main samundar ajiib tha
dam-bhar ko bhi nigah na chehre pe Tik saki
us paikar-e-jamal ka tevar ajiib tha
tanha bhi rah ke ham kabhi tanha nahin hue
hamrah us ki yadon ka daftar ajiib tha
ham-dam guman hota tha phulon ki sej ka
ḳharon se vo saja hua bistar ajiib tha
ham mahv-e-justuju the ‘sahar’ mustaqil magar
manzil mili na phir bhi muqaddar ajiib tha
Leave a Reply