• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere Junun Mein Meri Wafa Mein KHulus Ki Jab Kami Milegi

Mere Junun Mein Meri Wafa Mein KHulus Ki Jab Kami Milegi

mire junun men miri vafa men ḳhulus ki jab kami milegi

chaman giraft-e-ḳhizan men hoga bahar ujḌi hui milegi

javan hai himmat hai azm-e-mohkam nazar uTha.en to ahl-e-danish

alam ke tarik ufuq pe raushan shua-e-ummid bhi milegi

tasavvur us mah-ru ka hoga kabhi to dil men ziya-ba-daman

kabhi to zulmat-kade men ham ko khuli hui chandni milegi

mira pata puchh kar na toḌo sukut mera jumud mera

buland mahlon men rahne vaalo kahan miri jhonpaḌi milegi

ye kor-chashmi ka hai tamasha ki zulmaton ki tahen jami hain

nazar se parda haTa ke dekhen yahan vahan raushni milegi

rivayati paikar-e-ghazal men bhara hai rang-e-jadid main ne

‘ziya’ mire sher men muhayya koi na.i baat hi milegi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tilism-E-Ishq Tha Sab Us Ka Sath Hone Tak

poet

Tu Jo Pada Phirta Hai Aaj Kahin Kal Kahin

khumar-barabankavi

Na Haara Hai Ishq Aur Na duniya Thaki Hai

Munh Pher Kar Wo Kahte Hain Bas Man Jaiye

Ai Dil Ye Hai KHilaf-E-Rasm-E-Wafa-Parasti

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet