bina-e-ishq hai bas ustuvar karne tak
falak ko chain kahan phir ghubar karne tak
ye kab kaha ki bharosa nahin hai va.ade par
main ji sakunga tira intizar karne tak
ḳhabar na thi vo mujhe qatl karne aaya hai
main us ko dost samajhta tha vaar karne tak
phir is ke ba.ad kahan imtiyaz-e-daman-o-dil
junun hai shauq faqat iḳhtiyar karne tak
vo ḳhu-e-ishq basi hai hamari fitrat men
ki saath dete hain ham jaan nisar karne tak
kuchh is se pahle hi aa jaa.e meri ziist ki shaam
hayat vaqf ho jab din shumar karne tak
mere qabile ka ‘mohsin’ ye qaul-e-faisal hai
ki zulm zulm hai sabr iḳhtiyar karne tak
Leave a Reply