bichhaD Gaya Tha Koi KHwab-E-Dil-Nashin Mujhse

bichhaḌ gayā thā koī ḳhvāb-e-dil-nashīñ mujh se

bahut dinoñ mirī āñkheñ judā rahīñ mujh se

maiñ saañs tak nahīñ letā parā.ī ḳhushbū meñ

jhijhak rahī hai yūñhī shāḳh-e-yāsmīñ mujh se

mire gunāh kī mujh ko sazā nahīñ detā

mirā ḳhudā kahīñ nārāz to nahīñ mujh se

ye shāhkār kisī zid kā shāḳhsāna hai

ulajh rahā thā bahut naqsh-e-avvalīñ mujh se

maiñ taḳht par huuñ magar yuuñ to ḳhāk-zāda hī

gurez karte haiñ kyuuñ boriyā-nashīñ mujh se

ujaḌ ujaḌ ke base haiñ mire dar-o-dīvār

bichhaḌ bichhaḌ ke mile haiñ mire makīñ mujh se

bikhar rahī hai tap-e-intiqām se mirī ḳhaak

guzar rahī hai koī mauj-e-ātishīñ mujh se

muhāl hai ki tamāshā tamām ho ‘shāhid’

tamāsh-bīn se maiñ ḳhush tamāsh-bīñ mujh se

Leave a Comment