• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere Etimad Ko Gham Mila Meri Jab Kisi Pe Nazar Gai

Mere Etimad Ko Gham Mila Meri Jab Kisi Pe Nazar Gai

poet

mire e’timad ko gham mila miri jab kisi pe nazar ga.i

isi justuju isi karb men miri saari umr guzar ga.i

kabhi ban ke ishq ki raz-dan kabhi ho ke aah ki dastan

ka.i tarah tere huzur tak mire hal-e-dil ki ḳhabar ga.i

mujhe mere haal pe chhoḌ do mire dosto ye karam karo

miri umr-e-rafta ko do sada mujhe dard de ke kidhar ga.i

kabhi mai-kashon se ḳhulus tha tiri chashm-e-shisha-navaz ko

magar ab ye duur hai saqiya ki nazar se qadr-e-bashar ga.i

mujhe zabt-e-gham ka na de sabaq zara apne haal pe kar nazar

miri uljhanon ke ḳhayal se tiri zulf bhi to bikhar ga.i

ye to vaqt vaqt ki baat hai koi ro diya koi hans diya

miri vardat-e-dil-o-nazar miri zindagi pe guzar ga.i

kise DhunDte ho nagar nagar kise shahr shahr ho puchhte

tumhen shams’ jis ki talash hai vo nigah-e-a.ina gir ga.i

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afzal-parvez

Waqt Ke Tufani Sagar Mein Krodh Kapat Ke Rele Hain

Tu Samne Hai Par Teri Ab Bhi Kami Hai Dost

chandni-pandey

Ek Muddat Se Use dekha Nahin

Chand Fiqre Zer-E-Lab taDpa Kiye

Wo Rang uDe Hain Kuchh Ab Ke Baras Bahaaron Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet