mere dil ki raakh kured mat ise muskura ke hava na de
ye charagh phir bhi charagh hai kahin tera haath jala na de
nae daur ke nae khvab hain nae mausamon ke gulab hain
ye mohabbaton ke charagh hain inhen nafraton ki hava na de
zara dekh chand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamam shab
tira naam likkha hai ret par koi lahr aa ke mita na de
main udasiyan na saja sakun kabhi jism-o-jan ke mazar par
na diye jalen miri aankh men mujhe itni sakht saza na de
mire saath chalne ke shauq men badi dhuup sar pe uthaega
tira naak naqsha hai mom ka kahin gham ki aag ghula na de
main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phuul chuna karun
miri saltanat mira fan rahe mujhe taj-o-takht khuda na de
Leave a Reply