ḳhush-rañg-o-sahr-kār nazāroñ ko kyā huā
allāh is chaman kī bahāroñ ko kyā huā
raushan thiiñ jin se bazm-e-tasavvur kī ḳhalvateñ
in rashk-e-mehr-o-māh sitāroñ ko kyā huā
sāhil ko pā sakī na kabhī kashtī-e-hayāt
dariyā-e-ārzū ke kināroñ ko kyā huā
apne parā.e ho ga.e qismat ke saath saath
majbūr zindagī ke sahāroñ ko kyā huā
naġhma ba-lab huuñ aur na naala ba-lab huuñ maiñ
sāz-e-junūn-o-ishq ke tāroñ ko kyā huā
lab-hā-e-lāla-gūñ haiñ aur ik talḳhī-e-itāb
mīThe tabassumoñ kī phuvāroñ ko kyā huā
muddat se gulistāñ hai ba-rañg-e-ruḳh-e-marīz
‘altāf’ surḳh surḳh bahāroñ ko kyā huā