ik khalq jo har samt se aai tire dar par
aaya nazar-andaz khudai tire dar par
thi jis ki tamanna dil-e-mushtaq ko har dam
vo chiiz agar paai to paai tire dar par
ushshaq ke aage na lada ghairon se ankhen
dar hai ki na ho jaae ladai tire dar par
dekhi jo yahan aa ke jhadi abr-e-karam ki
sab dil ki lagi ham ne bujhai tire dar par
is nafas hi kam-bakht ne roka tha ‘sharaf’ ko
dushvar na thi varna rasai tire dar par
Leave a Reply