gham duniya bahut iza-rasan hai
kahan hai ai gham-e-janan kahan hai
ik aansu kah gaya sab haal dil ka
na samjha tha ye zalim be-zaban hai
khuda mahfuz rakhte afaton se
kai din se tabiat shadman hai
vo kanta hai jo chubh kar tuut jaae
mohabbat ki bas itni dastan hai
ye maana zindagi kamil hai lekin
agar aa jaae jiina javedan hai
salam akhir hai ahl-e-anjuman ko
khumar ab khatm apni dastan hai
Leave a Reply