mire banne se kya kya ban raha tha
main banne ko akela ban raha tha
aur ab jab tan chuka to sharm aa.i
ka.i din se ye parda ban raha tha
ziyada ho rahi thiin do sara.en
main phir mahfil ka hissa ban raha tha
qayamat aur qayamat par qayamat
main ḳhush tha mera halqa ban raha tha
falak miT sa gaya hadd-e-nazar tak
sitara hi ik aisa ban raha tha
nasheb-e-shahr tha yuun roz-afzun
miyan-e-shahr ziina ban raha tha
ḳharabi men ye ḳham aaya achanak
ḳharaba achchha-ḳhasa ban raha tha
main aadha jism ja baiTha vahin par
jahan baaqi ka aadha ban raha tha
aur ab jab kuchh na ban paaya to bole
yahi to tha jo kab ka ban raha tha
adakari numu-dari thi yaksar
main na-maujud kitna ban raha tha
Thahar jaana zarurat se tha ya.ani
guzar jaane ka lamha ban raha tha
mujhe asan tha hona na hona
zamana miT raha tha ban raha tha
Leave a Reply