
Nashtar Khaanqahi
mere badan ki aag hi jhulsa ga.i mujhe
dekha jo aa.ina to hansi aa ga.i mujhe
meri numud kya hai bas ik tuda-e-siyah
kaundi kabhi jo barq to chamka ga.i mujhe
jaise main ik sabaq tha kabhi ka paḌha hua
uTThi jo vo nigah to dohra ga.i mujhe
har sub.h main ne ḳhud ko ba-mushkil baham kiya
aa.i jo gham ki raat to bikhra ga.i mujhe
main dasht-e-arzu pe ghaTa ban ke chha gaya
garmi tire vajud ki barsa ga.i mujhe
ye fart-e-intizar hai ya shiddat-e-hiras
ḳhamoshiyon ki chaap bhi chaunka ga.i mujhe
teri nazar bhi de na saki zindagi ka fan
marne ka khel sahal tha sikhla ga.i mujhe

Leave a Reply