mira rafiq pas-e-jism-o-jan zinda raha
yaqin murda hua par guman zinda raha
jahan vo rahta tha ab us ki yaad rahti hai
makin baghair bhi goya makan zinda raha
bas us ke hone ka ehsas hai gharaz ki ḳhuda
vajud vahime ke darmiyan zinda raha
suḳhan se fa.eda kuchh ho to koi bole bhi
main jis jagah bhi raha be-zaban zinda raha
tamam umr kaTi bebasi ke aalam men
yuun kahne ke liye buḌha javan zinda raha
vo jab talak raha mahaul ḳhush-gavar raha
vo bazm men sifat-e-za.afran zinda raha
Leave a Reply