• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Mera dost Abul-Haul

Mera dost Abul-Haul

akhtar-ul-iman

dhuan-dhar taqrir jis ne abhi ki thi vo aadmi hai

jo lafzon ke pul bandhta hai

ubharte hue nau-javanon ko vaadon ki afyun de kar

usi pul pe laata hai aur gharq kar ke

palat jaata hai hasb-e-dastur aram-gah ko

ye duniya to un shola saman logon ne aapas men taqsim kar li

jo hathiyar ki shakl men ranj-o-gham dhalte hain

ya gola-barud ke kar-khanon ke malik hain

ya phir sana-khvan hain un ke

hamare liye sirf naare bache hain

sanati daur ke kaj-kulahon ki dad-o-dahish ruh-parvar ho ya jan-leva

magar zindabad, afrin, marhaba, ke siva kuchh nahin paas apne

ye sab janta hai hamari shujaat ki parvaz kya hai

hamari javan-mardi ik suba-jati taassub se

ya firqa-vari fasadat se aage kuchh bhi nahin hai

futuhat-e-askandari ham ne takhti pe likh kar mita di hain kab ki

hamare baad zamin ke tale so rahe hain

ajaib-gharon men latakti hain talvaren un ki

aur un ke zarrin libadon ko ghun kha gaya hai

zira-baktaron par clones aa gai hai

ye sab janta hai hamari tag-o-taz kya hai

hamare shikam gar hamare suron pe na hote

aur chehron men aza-e-jinsi

to ham achchhe insan bante

hamare gharon ke kam o besh sab aqabi darvaze paiham khule hain

hamare lahu men hare laal piile bahut saare parcham khule hain

kahin se magar haq ki avaz aati nahin hai

hamari zaban dil ki sathi nahin hai

hamare liye khokhla lafz-e-jamhuriyat hai, taqarir hain leaderon ki

hamare liye roz-namon ke safhat hain, ishtiharat hain nim-jinsi

hamare liye devtaon ke but hain, khuda ke faramin hain aur uqba

jo bad-rang hai haal ki tarah aur kore latthe ki bu se bhari hai

hamare liye sirf roti ki jidd-o-johd

auraton ke barhana badan ki tamanna se aage kahin kuchh nahin hai

hamari ragon men jo tezab hai us ki shiddat kabhi kam na hogi!

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aftab-iqbal-shamim

Kabhi Khud Ko dard-Shanas Karo Kabhi Aao Na

Dekhta Kya Hai Tu Hairat Se Hamara Chehra

poet

Gar Unhen Hai Apni Surat Par Ghamand

aftab-iqbal-shamim

Baat Ek Jaisi Hai Hajw Ya Qasida Likh

Ghar Se Be-Zar Hun College Mein Tabiat Na Lage

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet