mira diya hai muqabil charagh-e-shahi ke
main janta huun ki asar hain tabahi ke
saza sunai gai peshtar gavahi ke
to kya subut karun pesh be-gunahi ke
kise hai hosh ki ye jashn hai ki matam hai
muzakarat hain jalse ki sarbarahi ke
koi to jhanke zara din ki astinon men
milenge naag kai raat ki siyahi ke
hamare ghar hain moattar ghamon ki dhuni se
ki in gharon pe hain asarat khanqahi ke
Leave a Reply