mira dil is liye dhaḌka nahin hai
palaT kar us ne jo dekha nahin hai
ilahi main kahan par aa ga.i huun
ujala bhi jahan ujla nahin hai
ye aansu bhi musafir hain jabhi to
unhen main ne kabhi roka nahin hai
vahi ik ḳhvab hota hai asasa
hamare paas jo hota nahin hai
to kya ab zulm had se baḌh gaya hai
jo koi ab talak roya nahin hai
palaTna bhi nahin ‘shahin’ main ne
aur aage bhi koi rasta nahin hai
Leave a Reply