mehnat ki jab ḳhushbu Tapke parchha.in muskati hai
thak kar un ki banhon men tab angḌa.i muskati hai
un ki ḳhushbu pa kar dil ki angna.i muskati hai
un ko chhune se yadon ki bina.i muskati hai
jin ke khulne se duniya ka har gulshan abad hua
un kaliyon ki ḳhushi saja kar shahna.i muskati hai
un ki ḳhushbu se ḳhushbu hai gulshan ke sab phulon men
un ko chhu kar aane vaali purva.i muskati hai
yaden ghayal sansen bojhal jiina hai dushvar mira
meri halat dekh ke ab to tanha.i muskati hai
Leave a Reply