kisi ka dil ko raha intizar saari raat
falak ko dekha kiye baar baar saari raat
taḌap taḌap ke tamanna men karvaTen badlin
na paaya dil ne hamare qarar saari raat
idhar to sham.a thi giryan udhar the ham giryan
isi tarah pe rahe ashk-bar saari raat
ḳhayal-e-sham-ruḳh-e-yar men jale ta-sub.h
liya qarar na parvana-var saari raat
na puchh soz-e-juda.i ko ham se ai hamdam
jala kiya ye dil-e-daghdar saari raat
mizha ke ishq se aa.i na niind ankhon men
nazar khaTakti rahi ban ke ḳhaar saari raat
ḳhayal-e-zulf-e-siyah men baha kiye aansu
bandha raha mire rone ka taar saari raat
na puchh ham se ‘asar’ raat kis tarah kaaTi
ajab tarah ka raha intishar saari raat
Leave a Reply