ye sahn-o-ravish ye shams-o-qamar ye dasht-o-bayaban kuchh bhi nahin
juz apni had-e-parvaz nazar ai dida-e-hairan kuchh bhi nahin
hai mujh se vujud-e-hast-o-adam yuun hast-o-adam hain la ya.ani
ye ziist ka saman kuchh bhi nahin ye umr-e-gurezan kuchh bhi nahin
ai dast-e-junun hai aar tujhe kyuun meri qaba-e-hasti se
main chak-e-jigar ka qaa.il huun ye chak-e-gareban kuchh bhi nahin
shamil hai sarisht-e-insan men tul-e-shab-e-gham ka unsur bhi
ye sham-e-firaq-e-gham-agin sub.h-e-shab-e-hijran kuchh bhi nahin
kiina hai tujhe kis daulat se is daman-e-hasti men kya hai
juz va.ada-e-rabb-e-kaun-o-makan ai gardish-e-dauran kuchh bhi nahin
ik raah pe mujh ko chhoḌ diya manzil ka pata kuchh bhi na diya
is baab ki main tamhid bana jis baab ka unvan kuchh bhi nahin
qassam-e-azal ne to baḳhshi aadam ko mata-e-izz-o-sharf
ai gardish-e-dauran ye to bata kya azmat-e-insan kuchh bhi nahin
fitrat hai miri kuchh is darja manus-e-haqiqat ai gulchin
taqrib-e-baharan kuchh bhi nahin taḳhrib-e-gulistan kuchh bhi nahin
sah.ba-e-giranmaya hai ata maddah-e-mai-ḳhuddari huun
ai jam-o-subu ke shaida.i ye ḳhvahish-e-arzan kuchh bhi nahin
kya sharh-e-nigah-e-dost karun dekha hi nahin kuchh is ke siva
hota hai inayat dard bahut aur dard ka darman kuchh bhi nahin
vo kashti-e-dil hi Duub chuki jo ziist ka hasil thi ‘farhat’
ab rahat-e-sahil kuchh bhi nahin ab shorish-e-tufan kuchh bhi nahin
Leave a Reply