me.araj-e-irtiqa hai tamasha na janiye
tahzib-e-asr-e-nau ko barahna na janiye
ubhra bahut pe lauh-e-sama.at se duur duur
harf-e-sada ko ab ke kahin ka na janiye
hone ko is safar men bahut ra.egan hue
lekin hamen shikast ka nauha na janiye
bas apni ha-o-hu se hi raunaq hai char-su
viraniyon ko zinat-e-sahra na janiye
tufan ka naam sun ke larazti to hai magar
divar-e-jism-o-jan ko shikasta na janiye
Leave a Reply