mazid kuchh nahin bola main ho gaya khamosh
is ehtimam se us ne mujhe kaha khamosh
ab aise haal men kya khaak guftugu hogi
ki ek soch men gum hai to dusra khamosh
so yuun hua ki laga qufl nutq-o-lab pe mire
main tum se mil ke bahut der tak raha khamosh
jab ehtimam se raunda gaya vajud mira
to samne vo khada tha gurez-pa khamosh
main janta huun miri sar-kashidgi ka sabab
so mujh se baat na kar mere naseha khamosh
samaaton men nai guunj kis ne rakkhi hai
ki har taraf se uthi ek hi sada khamosh
main ek dasht-e-tamanna men niim zinda huun
havas-bakhta ghayal barahna-pa khamosh
Leave a Reply