maza kya jo yunhi sahar ho gai
nahin bhi pahar-do-pahar ho gai
tire gham men shab yuun basar ho gai
gharaz rote rote sahar ho gai
na aina har vaqt dekha karo
kahoge kisi ki nazar ho gai
jo bandhi kamar qatl-e-ushshaq par
kamar to na thi par kamar ho gai
sabab un ki ranjish ka kahna nahin
koi puchhe kis baat par ho gai
labon par thaharne se ai jaan! husul
idhar aa gai ya udhar ho gai
koi baat ulfat ki ab to nahin
jo kuchh ho gai peshtar ho gai
tira vaada go jhuut hi kyuun na ho
tasalli hamari magar ho gai
taghaful hai har baat par kis liye
mire dil ki tujh ko khabar ho gai
qayamat ke asar bhi ho gae
shab-e-gham daraz is qadar ho gai
manana rulana hi baham raha
shab-e-vasl yunhi sahar ho gai
nahin kya karoge na ham ko sunao
shikayat adu ki magar ho gai
khuda hai jo is but se phir ho milap
gharaz aaj to is qadar ho gai
kaha bhi to us ne kuchh aisa nahin
zara baat men chashm tar ho gai
na maana na maana usi shokh ne
ki duniya udhar ki idhar ho gai
tumhen zid na milne ki hai kis liye
miri aah kya be-asar ho gai
vo vaade se kyuun phir gae kah tu kuchh
ye kya baat ai nama-bar ho gai
ye qismat hua vasl bhi gar nasib
to ranjish bhi har baat par ho gai
vo aae bhi yaan us se ai dil husul
koi dam ko taskin agar ho gai
tire gham men ye haal to ho gaya
khushi ab tiri fitnagar ho gai
ye jhuti mohabbat se un ki husul
shikayat adu ki agar ho gai
unhen sulh manzur hai mujh se kab
kahun kya hui kyunki par ho gai
nizam us ghadi ka kahun haal kya
jab us ne kaha vo sahar ho gai
Leave a Reply