mausam ne ruḳhsati jo suna.i bahar ki
bhar aa.i aankh gul hi nahin ḳhaar ḳhaar ki
jaa.en to jaa.en bichhḌe hue log kis taraf
hain phuul naqsh-e-pa ke na ḳhushbu ghubar ki
ik pal dilon ke darmiyan qaa.em hai aaj tak
tufan ne toḌne ki to koshish hazar ki
muddat se tak raha hai miri raah rozgar
ai ishq ḳhuub teri ravish iḳhtiyar ki
aksar hain dekhne men bahut ḳhushnuma magar
rishton men ab mahak hai kahan e’tibar ki
phirti hai mujh ko le ke na jaane kahan kahan
‘faruq’ meri ḳhaak hai ye kis dayar ki
Leave a Reply