ek khubsurat din
main ne socha
main apne zer-e-intizam
baara sutunon ko arasta karun
phir main ne bahs ki
ek sarbarah ki haisiyat se
mera faisla hoga
ki main in sutunon ko kaise arasta karun
masnui phulon ke gul-daste lagaun
jamid hayat tasviren
ya shaeron ke khake
taalimi board baitha muskurata raha
aur sister ‘ina’ bhi
aur ‘sayyad-tahir’ bhi
aur ‘mister-ashraf’ bhi
aur phir sab ne ba-yak-avaz kaha
aap jo chahen karen
main ne calendar ke baara mahinon se
baara urdu shaeron ke khake nikale
aur frame kara liye
mazduron ne bataya
ham ne har mumkin koshish kar li
in mazbut sutunon men kilen nahin gaadi ja saktin
taalimi board ne hathauda uthaya
aur sister ‘ina’ ne
aur ‘sayyad-tahir’ ne
aur mister-ashraf ne
aur mez par baja kar
ba-yak-avaz kaha
ye aap ke tabut men akhiri kiil thii!
Leave a Reply