hui na ḳhatm teri rahguzar kya karte
tere hisar se ḳhud ko farar kya karte
safina gharq hi karna paḌa hamen aḳhir
tire baghair samundar ko paar kya karte
bas ek sukut hi jis ka javab hona tha
vahi saval miyan baar baar kya karte
phir is ke ba.ad manaya na jashn ḳhushbu ka
lahu men Duubi thi fasl-e-bahar kya karte
nazar ki zad men na.e phuul aa ga.e ‘az.har’
ga.i ruton ka bhala intizar kya karte
Leave a Reply