dil gaya tum ne liya ham kya karen
jaane vaali chiiz ka gham kya karen
ham ne mar kar hijr men paai shifa
aise achchhon ka vo matam kya karen
apne hi gham se nahin milti najat
is bina par fikr-e-alam kya karen
ek saghar par hai apni zindagi
rafta rafta is se bhi kam kya karen
kar chuke sab apni apni hikmaten
dam nikalta ho to hamdam kya karen
dil ne sikha sheva-e-beganagi
aise na-mahram ko mahram kya karen
marka hai aaj husn o ishq ka
dekhiye vo kya karen ham kya karen
aina hai aur vo hain dekhiye
faisla donon ye baham kya karen
aadmi hona bahut dushvar hai
phir farishte hirs-e-adam kya karen
tund-khu hai kab sune vo dil ki baat
aur bhi barham ko barham kya karen
Hyderabad aur langar yaad hai
ab ke dilli men moharram kya karen
kahte hain ahl-e-sifarish mujh se ‘dagh’
teri qismat hai buri ham kya karen
Leave a Reply