dil diya vahshat liya aur khud ko rusva kar liya
mukhtasar si zindagi men main ne kya kya kar liya
dil ki khatir kufr bhi us ne gavara kar liya
ek patthar khud tarasha khud hi sajda kar liya
aap ki chahat ka milna jaan lunga muft hai
jaan de kar bhi agar main ne ye sauda kar liya
bal-o-par apne salamat dar andheron ka nahin
chaar tinke jab bhi phunke hain ujala kar liya
dard bakhsha chain chhina dil ke tukde kar diye
haae kis zalim pe main ne bhi bharosa kar liya
‘shauq’ jab tak saans hai tab tak hai ummid-e-hayat
kyuun abhi se aap ne dil apna chhota kar liya
Leave a Reply