mauja-e-ḳhun-e-pareshan kahan jaata hai
mujh se aage mira tufan kahan jaata hai
chaa.e ki pyali men tasvir vahi hai ki jo thi
yuun chale jaane se mehman kahan jaata hai
main to jaata huun bayaban-e-nazar ke us paar
mere ham-rah bayaban kahan jaata hai
baat yunhi to nahin karta huun main ruk ruk kar
kya bata.un ki mira dhyan kahan jaata hai
ghar badalna to bahana hai bahana kar ke
andar andar hi se insan kahan jaata hai
dastan-go ki nishani koi rakkhi hai ki vo
dastan-goi ke dauran kahan jaata hai
ab to dariya men bandhe baiThe hain dariya ki tarah
ab kinaron ki taraf dhyan kahan jaata hai
Leave a Reply