mata-e-harf bhi ḳhushbu ke ma-siva kya hai
hava ke ruḳh pe na ja.un to rasta kya hai
main zard biij huun aur sabz hona chahta huun
miri zamin tiri miTTi ka mashvara kya hai
ye meri kaghzi kashti hai aur ye main huun
ḳhabar nahin ki samundar ka faisla kya hai
bikhar raha huun tiri tarah main bhi ai zar-e-gul
so tujh se puchhta huun tera tajraba kya hai
Leave a Reply