mast huun mast huun ḳharab ḳharab
saqiya saqiya sharab sharab
atish-e-ishq suun tiri jal jal
dil hua dil hua kabab kabab
duur mukh suun araq na kar gul-ru
de mujhe de mujhe gulab gulab
kah apas chashm-e-ba-haya kuun sanam
raf.a kar raf.a kar hijab hijab
dekh chhupta hai abr men ḳhurshid
duur kar duur kar naqab naqab
muntazir dil hai yaar ke ḳhat ka
qasid aa qasid aa shitab shitab
sheva-e-gul-ruḳhan hai ai ‘da.ud’
ghamza o ghamza o itaab itaab
Leave a Reply