masrur ho rahe hain gham-e-ashiqi se ham
kyuun tang honge kashmakash-e-zindagi se ham
koh-e-alam utha hi liya rah-e-ishq men
apni khushi ko chhod ke teri khushi se ham
lab-ha-e-yar ne to gulistan piro liye
khushbu jo pa rahe hain tiri pankhudi se ham
apni bahar dekh ke hairan rah gae
vaqif hue hain jab se rumuz-e-khudi se ham
meri jabin-e-shauq ko dar un ka mil gaya
uth kar kahan ko jaaen dar-e-bandagi se ham
rah-e-vafa men ji ke mare mar ke bhi jiye
khela usi tarah se kiye zindagi se ham
daman ko tar-tar kiya manzilen milin
aenge ab na hosh men divangi se ham
khud dard ban gaya mira darman-e-zindagi
itna qarib ho gae kuchh dard hi se ham
jo maqsad-e-hayat ko bhule vahi kahen
tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se ham
‘vasil’ ke dagh-e-dil se hai manzil ki raushni
varna nikal ke aate bhala tirgi se ham
Leave a Reply