main jo ye ashiyan banata huun
barq ko mehman banata huun
ishq ki sharh aaj tak na hui
roz ik dastan banata huun
koi markaz to ho balaon ka
is liye ashiyan banata huun
ta vo ho be-ḳhudi men jalva-numa
la-makan ko makan banata huun
mashq-e-sher-o-suḳhan se main ‘natiq’
un ke qabil zaban banata huun
Leave a Reply