masjid-o-mandir kalisa sab men jaana chahiye
dar kahin ka ho muqaddar azmana chahiye
mujh ko rone do mujhe rone men milta hai maza
muskurao tum ki tum ko muskurana chahiye
ḳhatm par mera safar hai Dagmagate hain qadam
aage baḌh kar un ko mera dil baḌhana chahiye
zindagi bhar chal ke ham aa.e hain manzil ke qarib
do-qadam ab chal ke manzil ko bhi aana chahiye
hosh aaya zindagi ka baar uTha lene ke ba.ad
bojh jitna uTh sake utna uThana chahiye
rakh diya ik din main jis ghar ko khanDar kar ke ‘nazir’
us ko banne ke liye ab ik zamana chahiye
Leave a Reply