masafaton men dhuup aur chhanv ka saval kya
safar hi shart hai to phir uruuj kya zaval kya
firaq-sa.aton ke zaḳhm ruuh tak pahunch chuke
mayassar aa.en bhi to ab masa.i-e-visal kya
hunar ko dhuup jangalon ki muskurahaTon men hai
gulab bastiyon men hanste rahne ka kamal kya
umiid hi to dil-shajar ki aḳhiri asaas thi
shagufa ye bhi ho gaya ḳhizan se pa.emal kya
tamam-shahr hi hava ke dosh par savar hai
dikha.e koi zaḳhm kya suna.e koi haal kya
Leave a Reply