markaz-e-chashm hai ab la.al-o-guhar ka sauda
nang-e-bazar hua dida-e-tar ka sauda
aaj chulhe se uThega koi sho.ala na dhuan
aaj lauTa hi nahin le ke vo ghar ka sauda
sahab-e-sar ko ḳhabar bhi nahin hone paati
aur ho jaata hai bazar men sar ka sauda
ab mayassar hai na sahra na bayaban koi
le ke ja.ega kahan mujh ko ye sar ka sauda
‘mir’-ji kab ke ga.e chhoḌ ke bazar ‘shakeb’
pher kar le chalo ab tum bhi hunar ka sauda
Leave a Reply