hindu na ban saka main musalman na ban saka
giita suni na hafiz-e-quran na ban saka
main dard-e-sar to ban gaya har ek ke liye
lekin kisi ke dard ka darman na ban saka
masnad-nashin na ban saka ye aur baat thi
sad haif tere dar ka bhi darban na ban saka
ḳhud men sama ke ḳhud ko hi karta raha salam
apne siva kisi ka sana-ḳhvan na ban saka
kitne hi shad-kam bashar se ḳhuda hue
main bad-nasib aaj tak insan na ban saka
kanTa to ban gaya main kisi ḳharzar men
lekin kabhi gul-e-chamanistan na ban saka
sher-o-suḳhan men yuun to guzari tamam umr
is par bhi ‘azam’ ek suḳhan-dan na ban saka
Leave a Reply