manzur hai napna kamar ka
paimana banaiye nazar ka
tha shaam se daghdagha sahar ka
dhadka hi laga raha gajar ka
siine men se kuchh aai avaz
phuta koi aabla jigar ka
aansu puchhenge kab tak ahbab
tapka na rukega chashm-e-tar ka
dil hi to hai kya ajab bahal jaae
kuchh zikr karo idhar-udhar ka
kyuun zulf daraz kholte ho
kya khauf tumhen nahin kamar ka
kuchh be-adabi hui muqarrar
siina bedha gaya ghar ka
tanha nahin gosha-e-qafas bhi
jhagda hai saath bal-o-par ka
muhtaj-e-kafan nahin hai bulbul
parda kaafi hai bal-o-par ka
rahte nahin ek dam kisi ja
batlaen nishan-e-khak ghar ka
kya kya ham ne na khaak udaai
paaya na ghubar tere dar ka
ho aap ke kaan tak rasai
allah ye martaba ghar ka
ai dil kunj-e-mazar dekha
pahla ye maqam hai safar ka
yaqut kahan mire dhun men
tukda hoga koi jigar ka
rukhsat rukhsat jo kah rahe ho
ai jan-e-khayal hai kidhar ka
jab tak hai kuchh hayat baaqi
rasta dekhenge nama-bar ka
ankhon men khayal aur hi hai
jalva kiya dekhiye qamar ka
aram kahan nasib ham ko
khatka darpesh hai safar ka
pahunche mire haath tak to fassad
munh laal karunga neshtar ka
daude lene qadam ajal ke
dhoka hua yaar ki khabar ka
thahro lasha uthe to jaana
jhagda hai aur do pahar ka
kyuun aae ‘nasim’ niind ham ko
sar rakh ke zamin pe yaar sarka
Leave a Reply