manzil pe na pahunche use rasta nahin kahte
do chaar qadam chalne ko chalna nahin kahte
ik ham hain ki ghairon ko bhi kah dete hain apna
ik tum ho ki apnon ko bhi apna nahin kahte
kam-himmati ḳhatra hai samundar ke safar men
tufan ko ham dosto ḳhatra nahin kahte
ban jaa.e agar baat to sab kahte hain kya kya
aur baat bigaḌ jaa.e to kya kya nahin kahte
Leave a Reply