manzil-e-ḳhvab hai aur mahv-e-safar paani hai
aankh kya kholin ki ta-hadd-e-nazar paani hai
aa.ina hai to koi aks kahan hai is men
kyuun baha kar nahin le jaata agar paani hai
ek ḳhvahish ki jo sahra-e-badan se nikli
khinchti hai usi janib ko jidhar paani hai
paanv uThte hain kisi mauj ki janib lekin
rok leta hai kinara ki Thahar paani hai
ab bhi badal to barasta hai par us paar kahin
kisht-e-be-ab idhar aur idhar paani hai
khinchta hai koi sayyara tire pyason ko
us ilaqe men jahan ḳhak-basar paani hai
chashm-e-nam aur dil labrez bahut hain mujh ko
ḳhitta-e-ḳhak hai aur zad-e-safar paani hai
Leave a Reply