manzil daraz-o-dur hai aur ham men dam nahin
huun rail par savar to dam-o-diram nahin
maidan-e-zindagi men karen daud-dhup kiya
ham aise na-tavan hain ki uthta qadam nahin
kya khuub haath paanv khuda ne ata kiye
chalte rahen to hajat khil-o-khadam nahin
aghyar kyuun dakhil hain bazm-e-surur men
maana ki yaar kam hain par itne to kam nahin
jab tak hai ishq-o-ashiq-o-maashuq men tamiz
khulta kisi pe raz-e-hadus-o-qidam nahin
aadam pe mo’tariz hon farishte to kya ajab
chakhi hanuz chashni-e-zahr-e-gham nahin
izhar-e-hal ka bhi zariya nahin raha
dil itna jal gaya hai ki ankhon men nam nahin
tu hi nahin hai ramz-e-mohabbat se ashna
varna dayar-e-husn men rasm-e-sitam nahin
irshad-e-taba ki na agar pairvi kare
naqqashi-e-khayal majal-e-qalam nahin
sar hi ke bal gae hain sada rahravan-e-ishq
hairat-zada na ban ki nishan-e-qadam nahin
kaisi talab kahan ki talab kis liye talab
ham hain to vo nahin hai jo vo hai to ham nahin
Leave a Reply