manzar ajab tha ashkon ko roka nahin gaya
hansta hua jo aaya tha hansta nahin gaya
ik baar yuun hi dekh liya tha use kahin
phir us ke ba.ad shahr men dekha nahin gaya
thi jis ke dam se raunaq-e-mahfil hama-hami
davat men us gharib ko puchha nahin gaya
saari ḳhuda.i ḳhud hi khinchi jaati thi udhar
main ḳhud vahan gaya mujhe bheja nahin gaya
jo kuchh na dekhta tha ‘shafaq’ dekhna paḌa
ghar le ke mujh ko shaam ko rasta nahin gaya
Leave a Reply