• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Ki Rudad Nigahon Se Bayan Hoti Hai

Dil Ki Rudad Nigahon Se Bayan Hoti Hai

dil ki rudad nigahon se bayan hoti hai

dard-mandon ki ḳhamoshi men zaban hoti hai

ḳhud-faramosh na jab tak ho koi kya samjhe

be-nishani bhi mohabbat men nishan hoti hai

naqsh-e-ummid hain ban ban ke bigaḌte kya kya

zindagi raqs-gah-e-reg-e-ravan hoti hai

jo tire husn-e-nazar-gir se shadab nahin

un baharon ke muqaddar men ḳhizan hoti hai

vo bura vaqt mohabbat men na dekhe koi

jab mohabbat bhi tabi.at pe garan hoti hai

yuun bhi hoti hai tire gham ki navazish aksar

lab pe hoti hai hansi dil men fughan hoti hai

jan-nisari se hai tauqir-e-mohabbat lekin

dekhna ye hai ki takmil kahan hoti hai

ham vahan ho ke bhi maujud kahan hote hain

ham-nashinon men tiri baat jahan hoti hai

chaunk uThta hai gham-e-hijr ka ehsas ‘rishi’

un ke aane pe bhi taskin kahan hoti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

mumtaz-mirza

Ghamon Mein dubi Hui Hai Har Ek Khushi Meri

Mohabbat Dil Pe Karti Hai Asar Aahista Aahista

poet

Ja Pahunchte Hain Sar-E-Dar Qaza Se Pahle

Bargashta-E-Yazdan Se Kuchh Bhul Hui Hai

akhtar-bastavi

Gunah Ka Matam

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet