mangen na ham bahisht na ho vaan agar sharab
dozakh men daal dijiye diije magar sharab
zahid ke bakht-e-bad ki hai khubi vagarna kyuun
chhode koi sharab ki ummid par sharab
tauba to ham ne ki hai par ab tak ye haal hai
paani bhar aae munh men dikha den agar sharab
goya sharab hi se bhara umr ka qadah
maut us ki khuub hai jo piye umr bhar sharab
samjha nahin ki jiite hain murde isi tarah
chhidke vagarna kyuun vo miri khaak par sharab
hai lutf-e-zist ye ki vo baitha ho ru-ba-ru
bikhre hon phuul idhar to dhari ho udhar sharab
be-khud kiya jahan ko tiri chashm-e-mast ne
thi kaisi is pyale men ai fitna-gar sharab
chashm-e-siyah mast nigah mast aap mast
piita hai dil-lagi ko but-e-ishva-gar sharab
tauba men ham na khaenge ilzam kya hua
ik-adh yaar pi gae gar bhuul kar sharab
Leave a Reply