ḳhalish hai ḳhvab hai aadhi kahani hai
hamari baat to bas aani jaani hai
samundar se tumhen vahshat hai kyon itni
ise chhu kar to dekho sirf paani hai
main kuchh bhi puchh luun kya farq paḌta hai
tumhen to baat hi koi banani hai
zara batlao tum kis kis se milte ho
tumhare shahr men kitni girani hai
tumhen duniya se matlab hai mujhe tum se
to phir ye kis tarah ki ham-zabani hai
ham is pahlu se bhi to soch sakte hain
sitara raat ki pahli nishani hai
zamin ko aate jaate mausamon se kya
use to aag miTTi se bujhani hai
sabhi hain surḳh-ru apni adalat men
kisi ne kab kisi ki baat maani hai
Leave a Reply