maana ki tujh men ye dil ab mubtala nahin hai
phir bhi hamare haq men ye faisla nahin hai
dil toḌ kar vo mera samjha raha tha mujh ko
ye baat hai zara si koi mas.ala nahin hai
ham zindagi se thoḌa na ashna hue hain
ḳhatra to kam hua hai lekin Tala nahin hai
main zindagi ki had se aage nikal to aaya
yaan par ḳhala hai likha lekin ḳhala nahin hai
mere safar pa koi kaise yaqin laa.e
koi rahbar nahin hai koi aabla nahin hai
suraj ke ghar men ham ne aansu chhupa diye hain
kal raat ne kaha tha ab hausla nahin hai
vahshat ko ḳhair jaano apne gale lagao
ye rizq-e-ashiqi hai koi bala nahin hai
Leave a Reply